Ghar Ki Yaadein

Interesting. It is strange that after many many years I feel like blogging again and I am sure anyone who knows me and have followed my earlier blogs would be quite surprised. But I hope to start writing again which was my passion.

So here is my first post, a poetry I wrote during my initial years here in London. Not sure if this would make sense to everyone but this is what goes in my mind and just penned while my way from office to home.

The longest poem I’ve ever written and possible one of the closest to my heart. I’ll name it as Ghar Ki Yaadein, a conversation between me and City of London :-)

Kyun ajnabi se lagte ho tum…Jab saath hoon mein har dum tumhaare…
Kyun pal pal chup rehte ho tum… Jab karta hoon mein tumse baatien…

Kyun lagte ho tum begaane se… Aur udaasi chayi hai chehre pe…
Kya mujhse koi gila hui hai ? Kya khafa ho tum mujhse ?

Tum kehte ho ke ghar jaana hai… Par yeh bhi to tumhara ghar hai…
Hai yahaan sabkuch tumhare liye… Phir tumhe kiska darr hai?

Hai duniya ke har log yahaan… Hai hindu muslim sikh isaai…
Phir kyu ghar jaana hai…. Jab mil kar rehte hai sab bhai bhai…

Aisi koi jagah nahi yahaan… Jo dekh kar muskaan na aaye…
Har ek cheez – har ek manzil… Bus tumhare hosh le jaaye…

Phir kyun tum kehte ho… Ke humein ghar jaana hai ?
Yeh tumhara bhi ghar hai… Yaha tumhe sabkuch paana hai…

Bus ek sawaal ne mujhe chup kar diya… Ke kaha hai mere sab apne ?
Paise to kamalu khub saare… Par kisse baatunga mere sapne ?

Duniya ki shohrat to kamalu mein… Phir bhi ek kami se hamesha rehti hai…
Zinda to mein kahi bhi reh lu… Waapis aa jao – maa kehti hai…

Mein jitna bhi khud ko rok lu yaha… Mera dil hamesha wahi rahega…
Jitna bhi samjhaau pagal dil ko… ghar jaana hai bus yahi kahega…

Phir kyu na jaau mein yaha se… Jab koi mujhe yaha apna nahi lagta…
Kyu rahun mein apno se door… Ab yeh ek khoobsurat sapna nahi lagta…

Na hoon khafa tumse… Na tumse koi gila hai…
Tumse hi seekha hoon… Kya khoya aur kya mila hai…

Hum sab watan se yaha… kuch majboori se aate hai…
Aur phir aur majbooriyaan… Aur hum yahi reh jaate hai…

Mann to sabhi ko karta hoga… Ke laut jaaye apno ke kareeb…
par mann ko behla dete hai… Ke chal aur do saal azmaale naseeb…

Yaha ki zindagi aur taur tarike… Majboori ka naam le leti hai…
Aur phir yahi apni zindagi bankar… Rishto ko badnaam kar deti hai

Paiso ke is khel mein yaaron… Apno se mooh mod lete hai…
Do char din phir jaate hai milne… Saal bhar akele chod dete hai…

Woh kabhi nahi kehenge tumhe… Ke chod do sab kuch aur aa jao…
Par kabhi unke taraf se bhi socho…. Woh yahi sochte hai.. aa jao…

Na gila shikwa hai logo se… Mein to ab ghar jaata hoon…
Saath rahu jab mein apno se…. to muskaan bhare din laata hoon…

Kuch pal yaha khoob acche beetein… Jo saath mein lekar jaata hoon
Soch lo apno ke liye kabhi… Yahi salah dekar jaata hoon

Love Always

Mayur

One thought on “Ghar Ki Yaadein

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.